in

koi alfaz nahi milta likhne ke leye

koi alfaz nahi milta likhne ke leye
us hasti pe kalam or kitab utha te hue
khud bhi roti he kasrat se meri kitab
or kaheti he mujhe bhi rulate hue
kia likho ge us maa ke baare me
jo jaagti rahi har raat tujhe sulate hue
har ik tamana poori ki teri zindagi bhar
tujhe hasaya apne dard ko bhulate hue
apni bhook bhool jati thi khudgarz banke
dekh leti thi jo tujhe kasrat se khate hue
phoolon ki tarha khil uthta tha jis ka chehra
ankhen dekhti jiski tujhe kahin se aate hue
bhool jaati thi dard ko kanton pe chal kar bhi
hasti thi wo bas har waqt tujhe hasate hue
yon koi shikayat nathi use khuda ke feslon se
dukh mile tujhe to roti thi sada lagate hue
saya bhi na parne dia mot ka tujpe abbas
tere hath bhi na kanpe jise dafnate hue
khud bhi roti he kasrat se meri kitab
or kaheti he mujhe rulate hue
kia likho ge tum us maa ke baare me
jo jaagti rahi har raat tujhe sulate hue

Pyar Jta Na Sake

Keemat Batao Muskurane Ki